Friday, December 13, 2019

The Cat Chord Talisman

Aaj kay is Mehangai bharay dor main har shaks Maali parayshani main ghira hoa nazar aata hai, Karobari parayshania, Karz ka boj, Ghar wa Family ka kharch etc, Har dosra shaks Gorbat wa fikar kay daldal main dhansta chala jaata hai woh apni taraf say har mumkin koshish karta hai kay is daldal say osay nijat milay magar jab osay koi raasta nazar nahi aata to woh suiside karnay par majbor hojata hai ya phir galat na jaiz aur haram tarikon say jald ameer bannay kay tarikay dhondta hai jis say woh sirf dunia main mojrim nahi banta balkay mazhab say bhi kat jaata hai, duniawi aur akhrat dono ki zindagi oskay liay jehnam ban jaati hai, woh din ba din haywan banta chala jaata hai aur haywani khuwaishat osay shaitan bana deti hain, mera is tarah kay shaitan logon say bazar main samna hota rehta hai jo kafi mehangi cheezay sell kartay hain aur ramzan jesay pak aur muqadas mahinay ka lehaz tak nahi kartay jhooti kasamay kha kar jhoot bol detay hain, is say menay yeh ghor kia kay yeh bhi aak marz aur bimari hai jo virus ki tarah pheli hoi hai aur kai log is bimari main mobtala hain,
Allah pak nay har Bimari aur marz say nijat aur shifa kay liay kai cheezay dunia main peda ki hain jis kay istamal say insan bari bari bimario aur amraz say nijat hasil kar leta hai, aysa tab mumkin hota hai jab insan Allah pak ki banai dunia main ghor wa fikar karta hai aur apni zahanat aur tajarbat say aysi aysi medicines banata hai jo bimario main shifa deti hain,
Same isi tarah Karobari parayshania, Bandish, Gorbat, Karz, Fikar wa Faka bhi bimaria aur amraz hain jistarah bimaria zindagi ka hisa hain aur har insan bimar bhi hota hai aur shifayab bhi hojata hai isi tarah yeh parayshania bhi insan ki zindagi main aati hain theek hojati hain to kabi theek honay ka nam nahi leti balkay barhti he chali jati hain, jismani bimario aur amraz say shifa kay liay hum medicines kha kar theek hojatay hain magar karobari parayshania wa bandish, gorbat, fikar wa faka jesi bimario say nijat kesay mumkin hai iskay baray main yahan main aap kuch share karnay jaraha hon,
Maali parayshani, rupay pesay main tangi, karobar aur rizaq main barkat ka na hona aur bandish ki kai wajohat hoti hain jo sitaron kay boray asrat ki waja say hoti hain ya phir jaadu kay bad asrat say ya phir kisi ki nazar e bad ya hasad say bhi ya phir kisi manhos ki nahosat say, saaya ya jinat kay boray asrat say bhi hoti hain, in sub say nijat hasil karnay kay liay sadion say humaray bozrog jo rohaniat main ghor wa fikar kartay hain aur apnay tajarbat say aysi aysi cheezay ya rohani medicines banai hain jis kay istamal say hum in sub rohani bimario aur amraz say nijat hasil kar saktay hain aur in khas cheezon ya medicines ko "TILSIM" kaha jaata hai aur aaj main in bari bozrog hastio kay Nayab Tilsimat jo seena ba seena muntakil hotay hain kisi say share nahi kiay jaatay in Tilsimat main say Aak Azeem Tilsim yahan aap say share kar raha hon jiskay istamal say karobari parayshania, rupay pesay ki tangi, bandish, gorbat, karz wagayra jesi maali parayshanio say nijat hasil hojay gi.

Yeh nayab Tilsim Cat yehni Billi main say hasil hota hai aur is Tilsim ko Billi ki Naal, Billi Ki Jer, Billi ki oor ya Billi ki Anool kehtay hain aur English main isay Cat's Chord ya Cat's Umbilical Cord kaha jaata hai,


Arabic ki qadeem Books main is tilsimat kay mutalik olma e batin nay kafi detail say likha hai aur iskay azeem asrat jo insan ki zindagi main khushali latay hain oskay mutalik kafi kuch bayan kia hai, yeh Dast e gayb ka aysa zabardast tilsim hai jiski jitni bhi tarif ki jay kam hai, Arabic ki qadeem kitab "Pordmamanishas" main Aamir bin Hayan Al-khulani nay is Tilsim ki tafseel istarah likhi hai kay Jab Aftab Borj Sabit may Mashtari motkaran hoto os waqat kali Billi ki Anol lekar osay khushk karkay osay musk wa saffaron say dhoop dekar sonay kay banay taweez kay khol main dal kar galay ya baazo main bandh lay, is tilsim kay asrat say os shaks ki tamam karobari parayshania chand he roz main dor hojati hain aur dekhtay he dekhtay oskay halat behtar say behtar bantay chalay jatay hain  aur osay apnay gorbat aur parayshani kay din yaad tak nahi rehtay kay kabi woh gareeb tha, rizaq main barkat, maal wa zar main taraqi kay sath oski izat wa aabro main bhi izafa hota hai, rizaq e hilal aur maal ki kasrat say oski zindagi aysh wa ishrat say gozarti hai, woh aysa gani hojata hai kay khuda kay siwa woh kisi ka mohtaj nahi rehta,
Kitab "Pordmamanishas" kay ilawa Arabic ki qadeem kitab "Kabeer Imam" main Abu Tayb Salah Kaldi is tilsim kay mutalik farmatay hain kay yeh tilsim bala shak wa shoba rizaq, maal wa zar ki kashaish kay hasool kay liay kamiab wa bay khata tilsim hai jisay akabar olma e rohaniat nay amal wa tajarbat kay meezan par tol kar aak mowasir tilsim kay tor par taslem kar lia hai, kitab "Yanabeh Al-Tilsimat" may Qazi Saad is tilsim kay silsilay main yeh kol bayan farmatay hain kay maal wa maash barhanay aur khushali kay liay yeh tilsim nihaet sacha aur dorast hai aur istarah kay amliat main say sub say barh kar ajeeb al-asar aur kaseer al-fowaid khusosiat ka hamil hai, isitarah kitab "Asar Al-Aadad main Hakim Taaos ibn Tarmah likhtay hain farakhi rizaq kay yeh tilsim apnay hayrat angayz kamalat kay sabab aak aysa akseer al-asar tilsim hai jiskay mokhfi asrat ka har olma e tilsimat har tabkay aur mazhab ka kael hai, Kitab "Al-Ajaib Al-Garayab" main Qazi Abdul Rehman Sharani nay bhi is tilsim ko olma e tilsimat wa rohaniat kay aak mastand wa mojrab tilsim kay tor par bayan kia hai, Shaikh Kays bin Tarfa Bolani apni kitab "Taalikat" may tehreer farmatay hain kay farakhi rizaq kay silsilay ka yeh tilsim tilsimati nawadrat may aak azeem tarin amal kay tor par maqbol wa marof hai jisay oloom e mokhfiat wa rohaniat kay muslima olma nay farakhi rizaq kay silsilay kay tamam tar aymal main bator e khas aak la jawab wa bay misal amal kay tor par motwatir nakal hai,
Kitab "Risael Halalia" may is tilsim ko Siahtos sani mashor kaldi sahir kay aak mojrab wa azmoda tilsim kay tor par bari tareef kay sath bayan kia gaya hai, Kanian bin Anosh apni kitab "Kasaid" may is tilsim kay mutalik tehreer karta hai kay yeh aak aysa tilsim hai jiska mainay khud tajorba kia hai aur isay sahi paya hai, kasaid jesi mashor tarin kitab may kanian bin anosh jesi azeem shaksiat ka is tilsim ko sahi kehna iski afadiat ko wazay karnay kay liay kafi hai, kitab "matalab Aleon" may is tilsim ko imam Harmis say mansob kar kay naqal kia gaya hai, Kitab "Shamael Al-Sehar" may is tilsim kay mutalik likha hai kay taraqi rizaq kay liay yeh tilsim fe haqeqat aak asar afrin tilsim hai jo kabhi khata nahi karta, kitab "Mukhtar Al-Hakam" may Hakim Jalineos bhi apnay mojarbat may is tilsim ko rizaq may taraqi aur dafa e fikar wa faka kay liay sahi wa mojrab aur asar angayz kay tor par tehrer farmatay hain,
Itnay olmao aur motbar hastio ka is tilsim kay mutalik apni kitabon main likhna yeh zahir karta hai kay is azeem tilsim main zaror aysa asrat hain jo insan ki bori kismat ko khushhal bana detay hain,
Yeh Tilsim khud mainay apnay liay bhi hasil kia aur iskay zabardast mokhfi asrat ka may khud kael hon, is tilsim ki madad say mainay kai kam kiay hain aur aab bhi karta hon, is tilsim ko hasil karnay say pehlay menay is tilsim kay mutalik kafi sona aur parha tha aur meray dil main yeh khuwaish peda hoi kay meray pas bhi yeh tilsim ho, menay kai logon say yeh tilsim mo mangay peson say kharida bhi magar woh sab fake aur jali thay woh checharay thay jis say koi faida to na hoa khud olta noksan othana para pesay aur waqat barbad hoa phir menay socha kuo na may khud is tilsim ko hasil karnay ki koshish karon aur phir meray gao(village) main meray jannay walon ko pregnant billi ki talash par laga dia, akhir onko pregnant billi mil gai meinay os billi ko cage mein dala aur mein bari bay sabri say intazar karnay laga kay jab woh bacha janay aur main billi ki naal hasil kar lon magar afsos billi bacha jantay he bachay ko chaat chaat kar naal bhi kha gai aur mujay kuch hasil na hosaka,

May apnay ilm wa tajorbay ki boniad par yeh arz karna chahata hon aap sab say kay Billi ki anool ya naal hasil karna aak moshkil tarin amal hai magar na mumkin nahi, billi jab bacha janti hai to kisi shaks ko apnay kareeb anay nahi deti aur agar koi kareeb oskay chala jay to woh gardan ki taraf jhapat kar katnay ki koshish karti hai agar os waqat kisi shaks ki gardan oskay danton main agai to woh shaks mar bhi sakta hai kuo kay billi gardan par nazok hisay ya nas par attack karti hai jis say insan bay has hokar gir parta hai aur gardan ki nas ko billi danto say okhar kar os shaks ko mar dalti hai, isliay yeh kam bohat dhian aur ahtiat say kia jay, kai log kehtay hain kay humaray pas palto billi hai hum oski naal asani say hasil kar saktay hain magar mein yahan aak khas baat aap ko batata hon kay kisi bhi palto ya pali hoi billi ki naal ya chord mein koi bhi asrat nahi hotay woh kisi kam ki nahi, jo billi awara ya jungli hoti hai sirf osi mein jinnati asrat aur rohaniat hoti hai kuo kay woh azad hoti hai muktalif jagaon par oska ana jana rehta hai aur gharilo billi mein koi asrat nahi hotay,
Mein is tilsim ki talash may kai arsay say tha aur akhir kar mujay aak fakir nay gao may tarika bataya, oskay bata ay tarikay say mainay asani say billi ki naal hasil kar li aur aab bhi isi tarikay say kai aur bhi hasil ki hain aur dosron ko bhi sell ki hain aur aab bhi sell karta rehta hon, aur aab may aap sab say yahan woh asan tarika share karta hon jis say billi ki jaar ya anool asani say bina kisi khatray kay hasil ki jasakti hai:
Billi ki anool hasil karnay ka tarika sab say asan yeh hai kay aak bara cage ya pinjara ho os mein chawalon kay chilkay bicha do aur pregnant billi jo an kareeb bacha peda karnay wali ho osko cage main band rakho jab woh bacha jannay gi to chawalon kay chilkay anool ya naal par chimat jay gay aur billi bawajod koshish kay osay kha na sakay gi kuo kay chawal kay chilkay sharp nokilay hotay hain kanton ki tarah oski ziban par chobay gay, os waqat aap asani say naal ya anool lekar achi tarah dho kar saaf kar kay apnay pas mehfoz rakh saktay hain, isi tarikay say may kafi billi ki naal ya anool hasil karta rehta hon aur kai logon ko sell karta rehta hon meray gao(village) may meray rishtaydar kay ghar par meinay khas pinjara isi maksad kay liay banwa rakha hai osi may yeh kam may karta hon jiski kuch images aap say share karta hon:


yeh hai woh pinjara jis kay zariay may billi ki naal ya anool hasil kar leta hon, image may aap ko malum par gaya hoga kay kis tarah  chawal kay chilkay rakhnay hain,



Mein opar pehlay bhi bata choka hon aur aab dobara yahan batata hon kay pali hoi palto gharilo billi ki anool, naal ya chord kisi kam ki nahi na he os mein koi asrat hotay hain, awara ya jangli billio mein jinnati asrat hotay hain aur inki chord he apna asar dikhati hain aur aysi billi ki naal hasil karna kafi moshkil tarin kam hota hai, opar likhay tarikay say anool hasil to hojati hai magar aak aur bhi problem hosakti hai woh yeh kay agar billi ka bacha aap nay apnay pas agar kafi dayr rakha to billi apnay bachay ko accept nahi karti na osay apna doodh pilati hai ya kabhi aysa bhi hota hai kay osay mar deti hai agar cat's chord hasil karnay kay baad billi nay apna bacha kabol na kia aur bacha bhook say mar gaya to yeh amal karnay wala 7 saal tak sakt kisam ki bandish ka shikar hojay ga aur is bandish ka koi tor nahi, isliay is tilsim ko hasil karnay mein bohat ahtiat ki zarorat hai yeh kam seconds mein karna hota hai aur billi kay bachay ko oski ma ki nazaron say dor ya ojhal nahi karna hota yeh kam phorti aur tezi say karna hota hai, aak banda billi ki tawaja apnay pas karay to dosra banda phorti aur tezi say billi kay bachay mein say naal otha lay aur naal hasil honay kay baad billi ko azad kardia jay osi waqat aur cage ka darwaza raat ko khol dia jay takay woh apnay bachay ko otha kar jahan oski marzi chali jay,
Cat's Chord yehni Billi ki naal ya Anool hasil hojanay kay baad osay achi tarah pani say dho kar saaf kar kay matti ki kisi choti piali ya bowl main dal kar barik jali dar kapra bowl par dori say bandh kar rakha jata hai,


Bowl may Cat's chord ko dal kar bowl ka mo barik jali dar cloth say bandh kar osay dhoop wali kisi mehfoz jaga par rakha jata hai takay woh dhoop may bilkol dry aur khushk hojay, barik kapra isliay bandha jaata hai takay keeray makoray ya kaway osay kha na sakay,

Cat's Chord Dry ya khushk honay kay baad sokar kar choti hojati hai, tez dhoop may 3 ya 4 din ya 1 week tak rakha jata hai takay achi tarah khushk hojay, khushk honay kay baad cat's chord sokar kar istarah ban jati hai:

Jab Cat's Chord achi tarah khushk ya dry hojay oskay baad cat's chord ko incense ya khushbo dar dhoni deni hoti hai takay osmay jo bhi bo wagayra ho woh khatam hokar bilkol saaf hojay, Cat's chord ko Incense ya dhooni may jo ingredients use hotay hain woh yeh hain:

Saffron, Loban(frankincense), Gogal(Benzoin), Golab ki khushk patia(Dry Rose petals) aur Bukhoor, in sub ko apas main mix kar kay dhoni di jaat hai, may apnay incense holder may charcoal cubes jala kar oskay zariay dhoni deta hon:

Achi Tarah Dhooni denay say cat's chord sokta hojati hai bo wagayra jo bhi os may hoti hai khatam hojati hai, dhooni denay kay baad cat's chord ko raat kay waqat chand ki roshni may kholay asman talay rakha jata hai is ko amal e tanjim kehtay hain, chand aur sitaron ki roshni ya rays say tilsim charge hotay hain aur tanjim ka amal cat's chord par karna zarori hota hai,
 
Amal e Tanjim kay liay may glass bell jar use karta hon, cat's chord ko dhagay may bandh kar bell jar kay andar latka deta hon, bell jar kay andar cat's chord matti ya dust lagnay say safe hoti hai aur har taraf say osay chand aur sitaron ki noorani rays ya roshni lagti rehti hai, sari raat osay isitarah rakhna hota hai aur subha suraj nikalnay say pehlay othana hota hai, agar soraj nikal aya aur soraj ki dhop lag gai cat's chord ko to amal e tanjim kharab hojata hai jis say aap ko phir dobara yeh amal karna paray ga,
  
Tanjim kay amal kay baad cat's chord ko sindoor main dal kar rakha jata hai, sindoor main cat's chord kabi kharab nahi hogi na os may germs ya keeray lagay gay os may preserved hojay gi,
Sindoor laganay kay baad cat's chord ko kisi chotay box may dal kar os jaga rakhni hoti hai jahan cash, jewellry ya keemati cheezay rakhi hoti hain, cat's chord ko chopa kay rakha jata hai kisi ko na oskay mutalik bataya jata hai na he kisi ko dikhaya jata hai warna iskay subi asrat khatam hojatay hain,


Kali Billi ki naal ya anol sab say nayab mani jaati hai yehni aysi kali billi jiska aak baal bhi safaid ya white colour ka na ho, kali billio kay aksar payt kay hisay par white baal hotay hain, kali billi aysi bohat kam nazar aati hai jis ka aak bhi baal safaid rang ka na ho is type ki cat' chord kay asrat bohat powerful hotay hain jo aur rituals aur amliat main kam atay hain, black cat's chord ka hasil karna ka tarika wahi same hai jo opar bata choka hon magar iska ritual change hota hai, black cat's chord ko dhoop aur soraj ki roshni say bacha kar mehfoz rakhna hota hai, black cat's chord ko zara bhi dhoop lagi oskay asrat khatam hojatay hain, black cat's chord hasil karnay kay baad osay matti kay pot may rakha jata hai,

Black cat's chord ko matti kay pot may dal kar barik jali dar cloth bandh kar pot par taweez ya talisman banaya jata hai aur phir pot ko kisi andhayri jaaga par 1 lunar month chand kay mahinay ya kamiri mahinay ki pehli tarikh say lekar new chand ki date tak rakha jata hai, har thursday yehni jomayrat ko dia aur agarbati ya incense ki dhoni di jaati hai, yeh tilsim bohat asar wala ban jata hai agar iska ritual thek tarah say kia jay, iskay bohat ziada fawaid hain aur bohat say amliyat mein bhi yeh use hoti hai jo kuch mein yahan bhi share karon ga,


 BLACK CAT'S CHORD KE AMLIAT:

 Cat's chord kafi Amliat main use hoti hain aur iskay fawaid bay shomar hain kuch main yahan aap say share karta hon:
 

 Aaj kal maali parayshanion kay sath aak aur bhi bara masla bhi aham hai woh masla larkion kay rishtay ya shaadi ka na hona hai, aksar larkion ki age bohat ziada hojati hai laykin onka kahin munasib shaadi kay liay rishta nahi aata jiski waja say parents ka sukon barbad hokar reh jata hai, shaadi waqat par na honay ka aak sabab yeh bhi hai kay larki kay parents ki yeh koshish hoti hai kay woh apni beti ko achi say achi taleem dila ay, isi waja say larkio ki age bohat ziada hojati hai, dosri waja sehar wa jadoo ki waja say bandish ki waja say bhi rishtay nahi aatay, sitaron ki gardish ki waja say bhi aysa hota hai, in sub problems ko theek karnay kay liay cat's chord aak powerful tilsim hai jisay larki agar chandi kay khol may taweez ki tarah dal kar galay may pehnay to Allah pak kay hokam say sub boray asrat khatam hokar woh larki har dil aziz ban jay gi aur oska rishta jald say jald achi munsabi jaga hojay ga, menay yeh taweez kai logon ko diay hain onko faida hoa hai aur iska moshaida may kar choka hon.
Agar kisi ko aulad na hoti ho aur hokar mar jati ho onkay liay bhi yeh tilsim akseer hai, 
Agar kisi ki aulad bohat na farman aur shararti ho, ya koi bacha har waqat bimar rehta ho aur bad asrat ka shikar ho jiski waja say har waqat oskay hadsay ka dar ho to yeh tilsim ghar mein honay say bacha mehfoz rehta hai,
Mia biwi mein muhabat na ho ya ghar mein sukon na ho har waqat jhagray fasad aur bimaria hon to yeh tilsim ghar mein honay say ghar khushal aur bimario say mehfoz rehta hai,
Isitarah agar cat's chord ko silver kay taweez kay khol main dal kar apnay pas rakh kar court may kisi case kay silsilay may jay to faysla osi kay haq may jay ga jiskay par cat's chord hogi yeh kai dafa ka azmoda amal hai.
 
Hob wa Taskheer ka amal jo opar meinay share kia hai yeh amal bohat he powerful asar rakhta hai, yeh amal mera azmoda hai aur mein yeh tilsimati sorma kai logon ko khud bana kar deta hon aur onko bhi bohat is say faida hasil hua hai, aap bhi muj say yeh tilsimati sorma hasil kar saktay hain, mein yeh sorma kistarah banata hon iskay mutalik mein yahan apni photos share kar raha hon is say aap ko jankari hasil hogi,




 Kali Billi ki anol roi mein dal kar bati bana kar chandi kay diay mein khas oil dal kar jalaya jay aur opar koi matti ka bowl rakha jay, aur bowl par say sorma kisi knife say khorach kar chandi ki dabia mein mehfoz rakha jay aur zarorat kay waqat use kia jay,
Kai logon ko sorma use karna passand nahi hota aur na kabhi onhonay sorma use kia hota hai ya phir kai logon ko sormay say allergy bhi hojati hai, aysay logon kay liay bhi yeh tilsamti sorma kam asakta hai woh istarah kay is sorma ko ankhon mein use kiay bagair isay ring ya locket mein bhi pehna jasakta hai aur jis shaks ki nigah ring ya locket par paray gi woh taskheer hoga, tilsimati sorma ring mein kistarah banaya jay oski detail aap ko meri in photos say malum par jay gi,


 Chandi ki ring khas aysi banwai jay jis mein naginay wali jaga ya khol nechay say band ho, naginay wali jaga mein sorma dal kar os mein chand katray khushbodar oil ya ittar kay dal kar opar say shishay ka tokra naginay ki tarah ospar laga dia jay,


 Oskay baad ring ko loban ya gogal ki dhoni achi tarah day kar ring ko thursday evening ya friday kay din pehan lia jay,

Is tarikay say locket bhi banaya jasakta hai, jiski nazar bhi ring ya locket par paray gi woh taskheer hoga, aap chahai to muj say order par aysi ring ya locket jab chahai banwa saktay hain,
Yeh attaraction ka khas tilsim hai, jiskay pas yeh tilsim hoga log oski taraf attaract karain ghay aur woh mehbob e khuwateen bhi hoga,aap kay zehan mein zaror yeh sawal peda hota hoga kay akhir is tilsim mein aysa kya hai?is sawal ka jawab yeh hai kay billi mein aak khas kashish aur attaraction ki rohani kowat ya jinnati asrat hotay hain aur yeh attaraction magnet ki tarah logon ko apni taraf khinchti hai,

Yeh attaraction ki kowat ya jinnati asrat khas aymal kar kay billi mein say hasil kiay jatay hain, iska aak amal sorma aur sormay wali ring bananay ka meinay opar share kia hai baqi kay aymal yahan share karna munasib nahi, Mein yahan kuch batain attaraction ya kashish kay hawalay say share karta hon,
Dunia mein kai logon mein kashish hoti hai aur kai logon mein bilkol nahi hoti, jin logon mein kashish hoti hai log oski taraf attaract kartay hain logon ko oskay sath othna bethna baat karna bohat passand hota hai aur onkay sath waqat guzarnay par onko bohat sukon sa feel hota hai aur jin logon mein kashish nahi hoti woh log chahai jitnay bhi rupay pesay kay lehaz say ameer hon ya khubsurat haseen hon, log onki taraf attaract nahi kartay aur agar miltay bhi hon matlab ki waja say aur matlab pura honay kay baad  jan choranay ki koshish kartay hain, logon ko onkay sath rehnay say aak ajeeb kayfiat hoti hai jesay dam ghotnay jesi ya bayzari see chahai woh banda kitna bhi pyar wa ikhlak say kuo na pesh ay magar logon ko onkay sath othnay bethnay aur baatain karnay say bayzari hoti hai woh bore honay lagtay hain ya onko gusa anay lagta hai ya tabiat kharab see honay lagti hai woh aur jan choranay ki kartay hain, magar iska matlab yeh nahi hai kay jis mein kashish nahi woh log manhos hotay hain ya manhosiat har jaga philatay hain, olma e rohaniat nay aysay logon ko bimar kaha hai aur agar aysay bimar shaks ka ilaj kia jay to woh thek hosakta hai, yehni kisi shaks par kashish ka na hona yeh aak bimari hai jo sitaron ki nahosat say hosakti hai ya phir kisi ki nazar e bad say, ya saaya jinnati asrat say ya phir kisi dushman kay kalay jadu ki waja say bhi, aysay kai log hain jinko yeh bimari lag jati hai tabhi onko izat wa ahtaram say log nahi dekhtay osay haqeer ya maskara samaj kar oski mazak oratay hain ya phir rob jhartay hain os par jiski waja say woh shaks ehsas e kamtari ka shikar hojata hai aur rastay mein chaltay hoay log apas mein kisi baat par hans rahai hongay to osay feel hoga jesay osay dekh kar hans rahai hain, woh shaks andar he andar ghotnay lagta hai nafsiati mariz ban jata hai aur oski zindagi jehnom jesi ban jati hai, family members hon ya dost, biwi ho ya bachay sab ki nazar mein woh haqeer sa ban jata hai koi mazak orata hai to koi os par rob jharta hai, yeh problem zamana e qadeem say logon mein rahi hai aam shaks say lekar badshahon ko bhi rahi hai tabhi kai jagah badshah ki jaga wazir nay hokomat ka nizam sanbhala hoa hota tha, tabhi zamana e qadeem mein olma e rohaniat nay kai aysay aymal, tawez wa tilsim ayjad kiay jo taskheer e khalaik kay liay hotay hain yehni aysay tawez ya tilsim jo agar jiskay pas hon to log onki taraf attaract karain aur izat wa ahtaram ki nigah say dekhay aur muhabat karain aur oska rob on par cha jay, in tawez aur tilsim mein say opar jo meinay amal share kia hai kajal wala bohat he asar rakhta hai, meray pas kai log aatay hain jo istarah ki problems mein mobtala hotay hain jesay meray pas aak shaks aya osnay kaha kay Ali bhai meri itni achi khasi shop hai magar koi customer nahi aata jab woh anay ki kartay hain to mera face dekh kar barabar wali shop par chalay jatay hain aur jab meri shop par mera bhai bethta hai to shop par kafi customers anay lagtay hain kya mein manhos hon ya muj par koi jadu hai? istarah aur bhi kai cases meray pas aatay rehtay hain koi job kay liay apply karta hai to boss oska face dekhtay he osay reject kar deta hai, aur kai aysay bhi log hain jinko aurtay ya khuwateen bilkol passand nahi karti woh shaks jis say bhi shaadi karta hai koi aurat os kay pas nahi tikti sab osay chor deti hain ya shaadi kay liay inkar kar deti hain halakay rupay pesay ke lehaz say osay kisi chez ki kami nahi hoti aur khubsurati bhi hoti hai magar os mein woh rohani kashish nahi hoti jis say log os par attaract karain, isi liay istarah kay tilsim wa tawez bana ay jatay hain jiskay istamal say istarah ki problems khatam hosakti hain agar yeh kisi bhi bad asrat ki waja say hon,agar khuda na khuwasta aap kay saath bhi yeh problem hai to aap muj say rabta kar kay taskher e khalaik ka yeh tilsim muj say banwa saktay hain,

Agar aap ko billi ki anool(cat's chord talisman) ki zarorat ho ya attaraction kay sormay ya sormay wali ring ki to muj say rabta kar kay mangwa saktay hain, 

Order karnay kay liay aap mujay phone, sms ya whatsapp kay zariay rabta kar saktay hain:
Phone & Whatsapp: +92 03003799165

                                             B Jogi.

The Jog Sagar Talisman


Gidar Singhi ka mera blog worldwide dunia mein har jaga logon nay pasand kia, internet ki dunia mein meri yeh wahid posting hai jis mein itni detail say gidar singhi par information di hai meinay aur sath mein iski muktalif aksam kay mutalik bhi share kia hai, yeh mukhfi raaz sadion say poshida tha meinay is raaz ko dunia bhar mein aam kia aur "Jog Sagar" yehni jogion kay olom ka daria jo dunia say tezi say khatam hota jaraha hai, in olom ko share kar kay mein katra katra is sagar ka jamah kar raha hon, InshAllah meri mehnat say aur aap ki duaon say apnay is maksad mein zaror kamiab honga aur is jog sagar say kai meri tarah mukhfi olom kay piasay log apni pias bojha sakay ghay,
 
Mera taluk Pakistan kay sobay Sindh say hai, Sindh zamana e qadem say he sufion, dervaishon, peeron wa fakiron, malangon, saniyasion aur jogion ki sar zameen raha hai, mein inhe sabi ki sanghat mein reh kar pala barha hon, inki sanghat mein rehtay hoay zahiri aur batni olom seekhay aur samjhay aur on say faiz hasil kia aur dosray kai logon ko bhi faizyab kia aur aab bhi kar raha hon,
Mujay bachpan kay woh din aaj bhi yaad hain jab hum bachay gali mein khel rahai hotay thay to jogi saperay ki been ki awaz suntay he dortay oskay pas jatay aur osay aik rupya day kar saanp dekhtay phir baray log atay koi jari boti ka pochta to koi dawai ya oil ka kehta to koi onsay gidar singhi ka pochtay to woh godari mein rakhay dabay say gidar singhi nikal kar onko dikhata ya kabhi dabay kay andar he dikhata, jab log yeh kehtay kay yeh sindoor mein aur kya chezain rakhi hain to jogi jhat say dabay ko band kar deta tha aur sirf gidar singhi kay topic par he baat karta tha, bachpan mein yeh to mujay malum tha kay gidar singhi baalon wali round gaynd hoti hai lekin aur jo chezain oskay sath rakhi hoti hain woh kya hoti hain? onka kya maksad hota hai aur jogi onko kuon chopata hai aur kuon woh in chezon kay mutalik koi information nahi deta, jab koi onsay gidar singhi leta to bas yeh kehtay kay sindoor kay sath loong aur ilaichi dal dena laykin aur chezain jo hoti hain woh phir kuon hoti hain? in sawalat kay jawabat kay liay mein Jog Sagar mein kod gaya,
 

Sindh kay Jogi yehni saperon ki tarikh bohat he qadim hai, jab mein jogion kay olom par research kar raha tha to os doran kai jogion say meri molakat hoti rahi, jo jo shaks mujay kisi achay jogi kay mutalik batata mein foran oskay pas pohanch jata, laykin afsos ilm walay jogi jinki mujay talash thi woh nahi mil parahai thay jo bhi miltay fake he miltay jinko sirf bataon ki trick ya shobda bazi ka fun tha, logon ko sheshay mein otarnay ka fun takay bataon ki trick say hypnotize kar kay fake chezain onko thama kar rafu chakar hojay, ilm walay jogi ko talash karna aysa tha jesay koilay ki kan mein say heera talash karna, heera talash karnay mein jistarah log koilay ki kan mein kalay par jatay hain mein bhi asal heeray jesay jogi ki talash mein kala hota gaya, bohat paisa mera zaya gaya, bohat fool bana lekin himat nahi hari aur akhir kar Omar kot say aghay Thar kay raygistan mein aik bozrog jogi "Bhairon Faqir" nam ka mila, oski aik aik baat mein hikmat chopi thi, dil karta tha bas oski batain sonta chala jaon, meinay jab onsay gidar singhi kay topic par baat ki to onhonay gidar singhi par bohat achi information di jisay meinay apnay gidar singhi kay blog par share kia hai, woh jogi meray pas aik ajeeb sa lakri ka purana box lekar aya, kuch parhnay laga phir box ko chom kar ahista say box ko khola aur gidar singhi nikal kar mujay dikhai aur box ko jaldi say band kardia, meinay onsay kaha kay aur is box mein kya hai to osnay dikhanay say saaf inkar kardia aur gidar singhi kay topic par he baat jari rakhi, meinay os jogi say bohat say kai olom sekhay jis mein gidar singhi ka ilm bhi shamil hai lekin afsos os box ka raaz mujay malum na par saka, os box mein aysa kya tha jo woh dikhana nahi chahatay thay, yeh aik raaz tha aur raaz he raha jab tak woh zinda thay, onki death kay baad woh box meinay oskay betay say kharid lia, oska beta koi kam nahi karta tha aur nashay ka aadi tha osay paison ki zarorat thi isliay osnay mujay woh box 1 lakh rupay mein sale kardia,
Mujay os waqat box milnay say bohat khushi hoi aysa laga jesay bara ilmi khazana hath agaya ho, meinay Bismillah parhi aur ahista say box ko kholnay laga jogi ki he tarah, zehan mein kai sawal peda horahai thay kay kahin jinnat wagayra na hon ya koi aysi chez jo noksan day, lekin phir woh suspense khatam hogaya kuon kay box mein sindoor lagi ajeeb see bones, jari botia, ajeeb say stones thay, meinay os waqat samjha kay shayad Bhairon jogi kay betay nay mujay fool bana dia hai, jo khas chezain is mein hongi woh nikal li hongi aur yeh chezain sindoor laga kar mujay thama kar rafu chakar hogaya, meinay phir os box ko gao kay meray store room mein rakh kar bhol gaya aur apnay dosray kamo mein busy hogaya,
Aik din meray pas Hyderabad kay ilakay Lachpat road say aik shaks Ghani nam ka aya, osnay bataya kay meinay aap kay walid ki bohat shohrat suni hai mein onsay milnay aya hon kuch zarori baat karni hai, meinay onko bataya kay meray walid ki death hochoki hai to woh afsos karnay laga aur wapis janay laga phir rok gaya aur pochnay laga kay aap kay walid ka kam onki jaga aab kon kar raha hai? to meinay kaha kay aab mein karta hon onka kam mein onka bara beta hon to woh khush hogaya aur kaha kay phir aap meri help kar sakay ghay, mein osay apnay ghar kay andar lay gaya room mein bithaya aur copy pen lekar aya to osnay kaha kay nahi nahi bhai mein hisab kay liay nahi aya na mujay tawez chahehai na he koi kam karwana hai mein Alhamdullah khush hon koi masla nahi mein in bataon par yakin nahi rakhta, meray walid aap kay walid ko jantay hain onhonay bheja hai isliay kay humara jo ghar hai woh pakistan bannay say bohat pehlay ka qadim ghar hai, humaray ghar kay aik room mein qadim dor ki lakri ki almari dewar mein lagi hoi thi, meri shadi honay wali hai hum ghar ki setting, colour karwa rahai thay aur naya furniture bhi lia to os qadim almari ko dewar say nikalnay lagay to almari kay pechay deewar say aik eent(brick) thori bahir nikal ai, meinay os eent ko apni taraf khincha to oskay pechay aik lakri ka box rakha tha hum nay woh box khola to oskay andar sindoor lagi kuch chezain thi mein to osay bahir rakhay dustbin mein phanknay jaraha tha lekin meray walid purani soch walay hain onhonay kaha kay aysay phankna thek nahi pehlay kisi aamil ko dikha kar oskay mashoray say daria mein thanda kardia jay isliay mein aap kay pas aya hon aap meray ghar chalain woh jaga aur box ko dekhain aur walid ko batae kay is box ka kya karna chahehai, mein ghani kay sath oskay ghar gaya oskay walid say mila woh jaga dekhi jahan box rakha tha aur box ajeeb sa lakri ka bana tha jis mein sindoor lagi kuch bones, herbs aur stones thay meinay onko kaha kay yeh gidar singhi ka box hai gidar singhi mojod nahi shayad mar ghai hogi aur baal oskay jhar kar is sindoor mein mixed hogay hongay, parayshani ki baat nahi aap is box ko daria mein baha dena, oskay walid nay kaha kay beta aap apnay gao jatay rehtay hain aap isay lay jay aur daria mein dal dena aap, onhonay woh box shoper mein dal kar mujay day dia, meinay ghar akar box ki chezain thek say check ki to yeh Bhairon jogi kay box jesi he chezain thi, meinay isay ahmiat nahi di aur gao kay larkay ko kaha kay isay daria mein dal kar ay aur osnay on sab chezon ko box kay sath he daria mein dal dia,
Is wakiay kay kafi arsay baad mein Lachpat road gaya wahan homeopathic shop say kuch medicines mujay leni thi, meinay dekha kay aik shaks dorta hoa meray pas aya aur kaha Ali bhai mein javaid hon pehchana mujay? aap osdin ghani kay ghar ay thay purana box onkay ghar say nikla tha woh apnay sath lekar ghay, meinay kaha kay han mujay achi tarah yaad hai ghani ki sunao khabar to osnay bataya kay yar ali bhai woh to tabha wa barbad hogay jab say woh box onkay ghar say nikla, 40 saal say woh os ghar mein reh rahai thay baray khushal thay, bohat paisa kamaya aur jamah kia laykin osdin kay baad jab aap woh box lekar ghay to ghani ka excident hogaya woh apahij hogaya, jo shadi onki honay wali thi woh tot ghai, ghani bhai ka zakham nasor ban gaya bohat ilaj karwaya lekin thek na hosakay aur onki death hogai, onka sadma onkay walid ko aysa laga kay kamzor aur bimar rehnay lagay aur onki bhi death hogai, chota bhai ghani ka jhagra kar kay pehlay he alag hogaya aur karachi shift hogaya, ghani ki ma apni beti kay ghar rehti hai karachi mein, yeh qadim ghar onhonay sale kardia, jinhonay lia onki family kay sath bhi problems honay lagi onhonay bhi sale kardia aab jisnay lia hai woh isay sara torwa kar bari shop bananay ka soch raha hai, Allah pak osay kamiab karay,
Javaid nay muj say pocha kay yar Ali bhai kya os box mein gidar singhi thi? woh box kahan hai? meinay osay bataya kay os box mein sirf sindoor lagi kuch hadia, herbs aur pathar thay meinay osay daria mein thanda kardia tha, javaid nay kaha kay zaror is mein koi to baat thi kay is chez ka ghar say nikalna aur in sab ka tabha hona, meinay kaha kay hosakta hai lekin yakin say nahi keh saktay kay is box ki waja say hoa ho,
Meri tawaja is box par bilkol nahi jarahi thi, phir jab meinay gidar singhi kay topic par blog likha aur kai log muj say gidar singhi lenay lagay to kuch logon ko is say achay fawaid hasil hoay lekin kuch logon ko os say bilkol kuch bhi fawaid hasil nahi hoay, on logon mein aik shaks india ka tha jisnay muj say gidar singhi li, osay koi faida nahi hoa osnay mujay phone par kaha kay Ali bhai aap gidar singhi change kar kay mujay dosra koi tilsim dain mujay is say 1% bhi faida nahi hoa, meinay osay kaha kay thek hai aap mujay yeh wapis post kardain mein apko dosra tilsim send kardo ga lekin oskay baad osnay mujay koi rabta nahi kia, phir aik saal baad osnay rabta kia aur kaha Ali bhai mujay pehchana mein wahi hon jisay aap nay india gidar singhi post ki thi, os gidar singhi ki barkat say aaj mein America aghaya hon yahan achi job bhi mil ghai hai, meinay onsay pocha kay aap nay to pehlay kaha tha kay gidar singhi nay koi asar nahi kia aur aap mujay post karnay walay thay, to osnay kaha kay han Ali bhai mujay pehlay laga kay yeh fake hai meinay yahan aik swami ko dikhaya to osnay kaha kay gidar singhi asal hai lekin os mein woh khas ingredients nahi sindoor mein jis say yeh asar nahi pakar rahi aur vastu shastar kay hisab say bhi aap nay osay thek jaga nahi rakha hua apnay ghar mein, os swami nay kuch khas ingredients os mein dal kar diay aur kaha kay isay ghar mein aysay rakho kay dafan hojay matlab kay koi bhi isay na dekh sakay to Ali bhai meinay isay ghar kay store room mein jahan ghar kay afrad kam jatay hain wahan osay chopa kay rakh dia, meinay store room isliay chose kia kuo kay swami nay bataya kay meray ghar mein aik aysi jaga hain jahan humaisha andhera rehta hai wahan meray saray ghar ka vastu yehni spiritual pak energy unbalance horahi hai aur har kisam kay bad asrat aur nahosat os andheray room mein phal phol rahi hai jiska bora asar meray ghar kay tamam afrad ko honay laga, isliay meinay gidar singhi osi room mein rakh di jis say sari nahosat wahan say khatam hogai aab hum sab khushal hain, aap please mujay aik aur bhi gidar singhi dain takay mein apni mother in-law ko gift karon onko bhi real gidar singhi chahehai,
Is indian customer ki baat say mujay aik naya tajorba sekhnay ko mila woh on ingredients ka hai jo gidar singhi kay sath rakhi jati hain, mein in ingredients ki research mein lag gaya aur Bhairon jogi walay box aur Lachpat road kay qadim ghar say mila box on dono boxes kay ingredients kuch kuch same thay, aab mujay ilm walay jogi ki talash thi jo mujay iskay mutalik sahi bata sakay,
Mein aik bar phir koilay ki kan mein nikal para heeray ki talash mein, kismat achi thi jo mil gaya Sehwan sharif mein wahan bhang kay nashay mein betha aik borha jogi ilmi batain kar raha tha, meinay bataon bataon mein Bhairon jogi walay box ki baat chayri to osnay kaha kay woh jogi ki daeg hoti hai jisay jogi sari omar pakata rehta hai jesay dekho samnay lal sain ki daeg langar ki pakai jarahi hai, bawarchi chawal, pias, tamatar, cholay aur tarah tarah kay masalay dal kar paka raha hai thori dayr baad pak jay gi aur hum sab khae ghay same isitarah woh box jiski tum baat kar rahai ho woh jogi ki rohani daeg hoti hai jis mein tarah tarah ki chezain hoti hain asrat wali jo osay muktalif khas jagahon say hasil hoti rehti hain aur woh apnay box mein dalta rehta hai, jo sawali zarorat mand oskay pas ata hai woh osay is box mein say kuch na kuch nikal kar day deta hai, jogi ki yeh rohani daeg na kabhi khali hoti hai na kabhi bharti hai, faiz jogi aur oskay pas anay walay sawali dono ko deti hai,
Meinay os say pocha kay phir sindoor ki kya haqeqat hai sindoor mein on chezon ko kuo dal kay rakha jata hai?
Osnay bataya kay sindoor mein woh chezain sada amar aur zinda rehti hain kabhi galti sarti nahi na os mein keera lagta hai chahai woh chez jari boti ho ya gosht wali chez ho woh os mein humaisha preserved rehti hain, yeh oski baat wakai dil say lagi os qadeem ghar say nikalnay walay box ki chezain bilkol sahi condition mein thi,
Meinay os say sawal kia kay kya yeh box har koi bana sakta hai? to osnay kaha kay isay banana asan kam nahi osay wahi bana sakta hai jisay "JOG SAGAR" ka ilm ho, Jog sagar woh ilm hai jis mein aap ko nature yehni qudrat ki har jari boti, jandar aur patharon kay khuwas ka ilm ho osay malum ho kay konsi chez sahi nayk asrat wali hoti hain aur konsi bori bad asrat wali hoti hain, agar box mein aik bhi bad asrat wali chez par ghai to jogi baray masael mein phas jata hai, jo dar dar bhek mangnay walay jogi hain woh jog sagar kay ilm na honay ki waja say hain, onkay baron ki daeg onkay pas hoti hain aur woh ilm ki kami ki waja say os mein kuch aysi chezain dal detay hain jis say sakht nahosat os box mein say janam leti hai jis say woh humaisha masael mein ghiray rehtay hain,
Jistarah Biryani ya qormay ki daeg mein aak kabil bawarchi sahi masalay ki miqdar aur balance say khanay ko laziz say laziz tar bana deta hai aur anari jahil bawarchi namak ziada dalnay say ya masalon ki miqdar ziada dalnay say balance out kardeta hai aur khana bad maza zehrila karwa ban jata hai, same isitarah humaray yahan bhi ilm walay aur anari thag jahil jogi bhi hotay hain, meinay onsay pocha kay kya aap Jog Sagar ka ilm jantay hain? to osnay has kar jawad dia kay agar mujay jog sagar ka ilm hota to sagar ban kar sabi ko faiz pohanchata yahan betha bhang na peta, hum fakiron kay liay to yeh bhang he jog sagar hai,
 
Mein is mukhfi haqeqat ko samaj gaya kay jog sagar aik aysa ilm hai jo kisi say sekha nahi jasakta, ustad jo osay jog sagar ka rasta dikhata hai woh to osay sindoor say bhara box day deta hai aur sindoori libas aur pagri sar mein bandh deta hai aur jogi nikal parta hai apnay alag tanha rastay par aur os rastay par jo jo ilm wali chez osay milti jati hai woh osay sindoor kay box mein dalta rehta hai, aab yeh oski kismat ya to woh jog sagar kay samandar mein dob kar mar jay ga zalil wa khowar hokar ya humaisha pagalon ki tarah bina kinaray kay samandar mein kinaray ki talash mein idhar odhar bhatak kar bhikari ki tarah apni sari zindagi tabha kar day ga lekin kuch hasil na kar pae gha, jis nay jog sagar ko par kar kay kinaray tak pohanch gaya woh real sacha "JOGI" hai jo khud bhi faiz yab hoga dosron ko bhi faiz yab karay ga,
Mein khud bhi jogion ki tarah mukhfi olom ki khoj mein raha hon aur meri khoj aur meri mehnat meray blog ki sorat mein aap kay samnay hai, aaj jo chez mukhi olom ki share karnay wala hon woh sabhi meray tilsim say ziada power rakhnay ki salaheyat rakhti hai oski waja aap ko sab parhnay kay baad malum hogi,

Rohani Daeg:
Sindh mein jogi saperon ki kai zaatay yehni castes hain onchi achi zaat kay kuch jogi baray ameer hotay hain, kuch nachli zaat kay hotay hain woh bhikari hotay hain, kuch murli aur raag mazarat mein gatay bajatay hain aur kuch jogi mukhfi olom walay hotay hain jinko zahiri aur batni hikmat ka ilm hota hai in jogion ko Saami jogi yahan kaha jata hai yeh ilm ramal jantay hain,
Saami jogi sindh mein aab tezi say khatam horahai hain onki jaga raag aur sor walay jogion nay lay li hai, aaj kay dor mein songs ko ziada pasand kia jata hai aur mukhfi olom par logon ki tawaja khatam hoti jarahi hai, kismat say kabhi kabhi saami jogi mil jatay hain, mein jab school mein 9th class mein parhta tha to humaray paros mein kiryana ki shop kay larkay say achi dosti thi, oski shop par saami jogi aya aur ilm ramal say meray dost ka hisab bana kar dekha to osnay bataya kay mera dost Ali bhi yahi ilm janta hai aur osnay mujay bolaya aur jogi say milwaya, jogi nay kaha kay mera hisab nikal kay batao meri qismat kay mutalik meinay hisab laga kar bataya to hayrat say mujay dekhnay laga, meray dost nay pocha kuo bhai hisab sahi nahi aya kay aap chop hogay to jogi nay kaha kay iski aik aik baat sachi hai iska matlab yeh hai kay iski daeg paki hoi hai ya daeg paka raha hai tabhi iska ilm accurate hai, meinay kaha kay konsi daeg? meinay to koi daeg nahi pakai, osnay kaha kay agar tum nay nahi pakai phir tumharay kisi baray nay pakai hogi aur tum muft ki paki pakai daeg kay mazay lay rahai ho kismat walay ho kay choti omar mein ilm hasil karlia, hum to daeg pakanay kay chakar mein dar dar bhatak rahai hain, oski daeg wali baat mujay os waqat samaj nahi ai lekin aaj is mukhfi daeg kay raaz ko samaj choka hon,
Yeh Rohani mukhfi daeg kaisay pakai jati hai aur os say faiz kaisay hasil kia jata hai oskay mutalik sab kuch yahan share karnay jaraha hon,
Jistarah Biryani ki daeg muktalif masalajat, murgi aur aag say pakatay hain same isitarah rohani daeg Yantar, Tantar aur Mantar say pakai jati hai,
*Sacred Yantar:
  Yeh khas 100 say zaed muktalif masalay hotay hain,
*Sacred Tantar:
Yeh khas 100 say zaed muktalif tilsim hotay hain,
*Sacred Mantar:
Yeh khas wazaif hotay hain masalon aur tilsim ki taskheer kay liay
parhay jatay hain yeh aag ki tarah kam kartay hain bina wazaif kay daeg pakai nahi jasakti, in wazaif kay asar say he daeg pak kar taiyar hoti hai,

The Sacred Yantars:

 Yehni woh khas masalay jo mukhtalif tilsimat ko powerful banatay hain aur in masalon ki waja say recharged rehtay hain, bina in masalon kay tilsimat waqat kay sath bay asar hojatay hain, yeh masalay humaisha tilsimat ko pur asar rakhtay hain in masalon ki list yeh hai:

Trees ka Powder:
7 planets say mansob trees ka qudrati powder jo darakt par kera lagnay ya deemak kay khanay say banta hai, agar yeh natural trees ka powder na mil sakay to 7 trees ki khushk lakario ko ghis kar ya onko jala kar onki ash hasil ki jati hai,
Animals ki skin ki rakh:
7 planets say mansob khas janwaron ki khal par likhay 7 planets kay tilsim, in tilsim likhay 7 khalon ko jala kar oski rakh hasil ki jati hai,
Birds kay feathers ki rakh:  
7 planets say mansob 7 birds kay paron ko jala kar oski rakh li jati hai,
Zameeni Animals ki rakh:  
7 planets say mansob woh 7 janwar jo zameen kay andar bill bana kar rehtay hain onki rakh,
Watery Animals ki rakh:
7 planets say mansob woh 7 animals jo daria, nehar ya samandar mein rehtay hon onki rakh,

Watery Plants ki rakh:
7 planets say mansob woh 7 plants jo pani ki teh mein hotay hain,

Insects ki rakh:
7 planets say mansob woh 7 insects jo muktalif jagahon mein hotay hain,

Anaj ka aata:
7 planets say mansob 7 muktalif anaj ka aata lia jata hai,

Metals ka powder:
7 planets say mansob 7 metals ko jala kar onka powder lia jata hai,

Jagahon ki khak:
7 planets say mansob 7 sacred khas jagahon ki khak li jati hai,

Gemstones ka powder:
7 planets say mansob 7 gemstones ko pees kar onka powder lia jata hai,

Jagahon ka pani:
7 planets say mansob 7 sacred khas jagahon ka pani lia jata hai,
 
 Total 10 yantars hain yeh, fe yantar say thora sa chutki jitna powder ya raakh li jati hai ziada miqdar nahi li jati,

 Sabi 10 yantaron say chutki jitni rakh ya powders lekar sabi ko apas mein mix kar kay phir sindoor mein mix kia jata hai, 
aab yeh yantar ka masala puri tarah taiyar hai,
Aab hum Tantars taiyar karay ghay yehni tilsims,

The Sacred Tantars:
Jog sagar ilm kay natural qudrati tilsim jinko tantars kehtay hain yeh khas tilsim 7 types kay hotay hain,
Herbal Talisman:
Yeh muktalif khas darakhton ya podon ki lakri, jarh ya seeds kay talisman hotay hain,
Animal Talisman:
Yeh muktalif janwaron ki hadion, nails, claw, tooth ya organs kay talisman hotay hain,
Stone Talisman:
Yeh muktalif khas gemstones ya fossilized stones kay talisman hotay hain,
Alchemy Talisman:
Yeh tilsim ilm kimiya kay zariay muktalif chezon ko apas mein mix ya blend kar kay banatay hain,
Crypto Botany Talisman:
Yeh nayab herbal tilsim hotay hain aysi jari botia jo aam har jaga nahi milti jo kismat say hath aati hain, aysi khas batni jari botia jisko batni ya mukhi olom walay he apnay ilm say khoj nikaltay hain,
Crypto Zoo Talisman:
Yeh nayab janwaron ya insects kay tilsim hotay hain jo dunia mein ojhal rehtay hain inko jinnati janwar bhi kehtay hain, khas waqat aur dino mein yeh janwar zahir hotay hain inkay organs kay tilsim banae jatay hain,
Crypto Stone Talisman:
Aysay nayab stones jo muktalif sacred jagahon ya janwaron mein peda hotay hain onkay tilsim banae jatay hain, 

Jog Sagar ki rohani daeg mein har makasad kay tilsim hotay hain har woh general masael jo har insan ki life mein hotay rehtay hain yeh tilsimi daeg as a rohani antibiotic on masael ko thek karti rehti hai, 
Jog sagar ki rohani daeg mein 100 say bhi ziada khas tilsimat hotay hain,

 In tamam tilsimat ko khas sindoor mein mix kar kar rakha jata hai,
Rohani daeg mein tamam khas ingridients dalnay kay baad akhri kam osay thek say pakana hota hai, thek say paknay kay baad he is daeg say fawaid hasil kiay jasaktay hain agar daeg ko sahi say na pakaya jay ga to yeh faida na day gi aur na he is mein koi asrat hongay, daeg kay aik aik tilsimat say mansob wazaif ko parh kar onki rohaniat ko taskheer kia jata hai,

The Sacred Mantars:
 
Mantars yehni wazaif jo har tilsim ki rohaniat say jora alag alag wazifa hota hai osay parha jata hai jis say os tilsim ki rohaniat taskheer hoti hai, jab tamam tilsimat kay wazaif khas waqat aur din ko parh kar complete kiay jatay hain to daeg pak kar taiyar hojati hai,

Yantar, Tantar aur Mantar kay powers say bani khas rohani daeg taiyar honay kay baad taste kar kay check kia jata hai kay koi kami pashi to nahi reh ghai takay osay thek kia jasakay, jistarah biryani ki daeg pakanay kay baad end mein chakh kar dekha jata hai kay namak ya mirchi to ziada nahi hogai same isitarah rohani daeg ko check karna bhi lazmi hota hai, jistarah namak ya mirch ziada par janay say biryani ki sari daeg kharab hojati hai aur mehnat aur time alag waste hojata hai same isitarah rohani daeg mein agar koi tilsim galat par gaya ya moafik nahi araha to sari daeg par oska effect bora parta hai, kuch tilsimat ki rohaniat dosray tilsimat ki rohaniat say mukhalfat rakhti hai oski waja say bhi rohani daeg unbalance hojati hai, isliay in tamam chezon ka khyal rakh kar sahi balance rohaniat ka rakh kar daeg perfect banai jati hai,

Jog sagar ki rohani daeg ko check karnay kay kai muktalif tarikay hotay hain, kuch saperay jogi log jo vedic jiyotish yehni najom ka ilm jantay hain woh kundali yehni najom ka zaicha bana kar check kartay hain aur os hisab say tilsimat ko balance mein kar kay rakhtay hain jis say daeg perfect balanced mein ban jati hai aur kuch jogi saperay ilm ramal jantay hain os say hisab bana kar daeg kay ingriedients aur oski rohaniat ko balance mein kar kay rakhtay hain aur kuch jogi saperay jo najom ya ramal nahi jantay woh saanp kay zariay check kartay hain jiska tarika istarah hai,

 Saray amal karnay kay baad rohani daeg ko saanp ki pitari kay opar 3 din tak rakha jata hai,

3 din kay baad saanp ko pitari say khol kar oska behaviour check kia jata hai, agar saanp pitari say nikal kar bechain hokar bhagnay ki karay ya ya idhar odhar dekhnay lagay ya khofzada hoto iska matlab kay daeg mein element air kay tilsimat balance mein nahi ya to woh ziada miqdar mein par ghay hain ya phir dosray element kay tilsimat say onka jor nahi ban paraha aur yeh daeg jinnati ban jati hai agar yeh daeg jis ghar mein rakhi jay gi to os ghar kay afrad bhi bechain aur khofzada rahai ghay,
Agar pitari kholnay par saanp sost aur active na ho aur behosh sa feel ho to iska matlab element earth say mansob tilsimat ziada miqdar mein par ghay hain ya dosray tilsimat say onka jor nahi ban raha, yeh daeg unbalance hai yeh jis ghar mein hogi to wahan kay afrad unactive aur sost rahai ghay aur koi kam karnay ko dil onka nahi lagay ga aur sotay rehna onhai acha lagay ga,
Agar Pitari kholnay par saanp ghusay mein phokarnay lagay aur bar bar attack karay to oska matlab element fire kay tilsimat ziada hogay hain ya oski rohaniat ka jor dosray tilsimat say nahi ban paraha, yeh daeg bhi unbalance hoti hai jis ghar mein hogi to wahan larai jhagray ziada hongay, 
Agar Pitari kholnay par saanp tezi say rangnay lagay golai mein pitari kay andar he to iska matlab element water kay tilsimat ziada par ghay hain onki miqdar kam kar kay daeg ko balance mein kia jata hai,
Pitari kholnay par agar saanp normal, active aur sehatmand hoto iska matlab kay daeg balanced mein achi aur perfect bani hai,

Mein ilm ramal janta hon aur ilm ramal kay zariay mein hisab bana kar check karta hon kay konsay tilsimat balance mein hain konsay nahi aur saanp kay zariay bhi elemental balance check karta hon aur jo clients, customers aur students muj say jog sagar ki daeg banwatay hain mein astrology kay say bhi onkay date of birth kay mutabik jo tilsimat onkay liay moafik hotay hain wahi deta hon aur astrology aur ramal kay zaichay mein jo jo masael onki life mein hotay hain on masael say mansob tilsim bhi onko deta hon jis say sahi aur balance mein daeg ban jati hai,

Yeh daeg meinay aik khatoon jinka nam Shazia bint bilqees bibi hai onkay liay banai,

 Onhonay mujay kuch apnay masael batae, meinay ilm ramal say onka rayt par hisab bana kar check kia aur jo tilsim on masael ko hal karnay kay liay mansob thay wahi meinay onkay liay choose kiay aur jog sagar ka tilsimi box onko bana kar dia,


Shazia kay is jog sagar tilsimi box mein pehlay kam tilsim thay lekin baad mein osnay 100 say ziada tilsimat ka box muj say banwaya, jo tilsimat os box mein thay woh yeh hain:
ANIMAL Talismans:
1, Saam Gidar singhi
2, Mohini Gidar singhi
3, Black Cat Chord
4, Lovers & Family Hatha Jori
5, Elephant Tooth
6, Lion Claw
7, Lion Tooth
8, Porcupine Tooth
9, Reptile Claw
10, Black Cobra Tongue
11, Black Cobra bones
12, Black Horse Tooth
13, Badger Tooth
14, Hoopoe Wishbones
15, Hoopoe Claws
16, Rooster Claw with Cockstones
17, Crab Claw
18, Black Scorpion Claw
19, Preserved Baby Ababeel Bird
20, Frog Claw
21, Owl Wishbone
22, Wolf Tooth
23, See see Bird Wishbone
24, Rabbit Foot
25, Dried SeaHorse
26, Fish Wishbone

HERBAL Talismans:
27, One & Five mukhi Rudraksh beads
28, Loong & Ilaichi
29, Shvetarak root
30, Son Mukhi Seeds
31, Chirmi Seeds
32, Bicho Boti
33, Lucky Hand Root
34, Human Shaped Root
35, Twin Almond
36, Oudh Slayb
37, Sea Plant
38, Castor Seeds
39, Hob Al Malok Seeds
40, Jogi Black Seeds
41, Tiger pods
42, Patal Mudh Herb
43, Indarjal Sea Plant
44, Arabic Gum
45, Hermal Seeds
46, Haldi
47, Sandal wood
48, Saffaron
49, White aak root
50, Sacred Tree Root
51, Sacred Plant Root
52, Ajwain

STONE Talismans:
53, Male Fishstone
54, Female Fishstone
55, Tantric Twin Stone
56, Gomati Chakra Stone
57, Small Black Shaligram Stone
58, Black Jet Stone
59, White Pearl
60, Black Pearl
61, Murg Stone
62, Aetitie Stone
63, Cow Bezoar Stone
64, Load Stone
65, Antrikha Stone
66, Marjan
67, Fossilized Red Coral
68, Fossilized Snake Stones
69, False Gold Stone
70, Agate
71, Fossilized Star Stone
72, Luck Richman Stones
73, Stones from Sacred Places
74, Pukhraj
75, Moon Stone
76, Tourmaline Stone Green
77, Tourmaline Stone Black
78, Smoky Quartz

METAL Talismans:
79, Pieces of Black Horseshoe
80, Meteorite Metal
81, Iron talisman
82, Copper talisman
83, Silver talisman
84, Magnet
85, Lucky Coin Talisman
86, Animetal Talisman
87, Fengshui Lucky Metal Talisman
88, Ancient Copper Coin
89, Ancient Silver Coin
90, Planetry Talisman

AlCHEMY Talismans:
91, Earthworm's copper 
92, Planetry essential oil
93, Aab e Nissan Blood worms
94, Philosopher's lucky stone
95, Planetry ittars
96, Mercuric Talisman
97, Parad Shivling
98, Mercuric Cowry Shell
99, Sulphar & Monkey Blood talisman
100, Planetry potions


100 say bhi ziada tilsimat say bana yeh khas jog sagar ka box apnay andar zabardast power rakhta hai agar aik tilsim nay jaldi faida na dia to dosra to dayga agar dosray nay bhi jaldi faida na dia to tesra do dega istarah 100 tilsimat mein say koi na koi tilsim aysa zaror hoga jo foran apna power dikhae ga jis say kafi masael hal hosaktay hain,

How To Use Jog Sagar Talisman?:
Jog Sagar Tilsim ko use karnay ka tarika bohat simple hai, jog sagar tilsimi box mein sedhay hath ki sab say choti finger ka nakhon kat kay dala jata hai takay aap iskay owner ban jay aur oski rohaniat aap par apnay asrat zahir karna shoro karday gi, oskay baad box ko kisi safe jaga rakh dia jata hai jahan aap kay siwa koi osay khol kar na dekh sakay, har shaks ki apni alag chemistry hoti hai har kisi kay apnay alag maslay masael hotay hain, jo muj say jog sagar box banwatay hain mein osi shaks ki rohani chemistry ko samaj kar os hisab say box bana kay deta hon aur yeh box mein apnay khas students jo mera ilm muj say sekhtay hain aur khas clients aur customers jo meray rabtay mein rehtay hain aur guidelines muj say letay rehtay hain aur meray mashoray say chaltay hain onko mein yeh khas box bana kar deta hon aur aik aik tilsim kay fawaid aur onko use karnay ka tarika bhi batata hon, 

Need Jog Sagar Talisman?:
Agar aap ko jog sagar tilsim banwana hoto aap muj say rabta kar kay banwa saktay hain, yeh tilsim apkay nam aur date of birth aur ramal kay hisab kay mutabik banay ga aur jo tilsimat aap ki rohani chemistry say mansob hongay wahi use hongay, aap tilsimat kam ya ziada apni choice kay mutabik banwa saktay hain, 

Rabtay kay liay aap call, sms ya whatsapp kar saktay hain is meray number par:  +92 03003799165  

InshAllah new posting Siyar singhi ankareb post karo ga, 
Apnay is bhai ko duaon mein zaror yaad rakhiay ga,

                                                       B Jogi.